Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti - Alhaj Khurshid Ahmed
Kya khabar kiya saza mujh ko milti
Meray Aqa nay izzat bachali
Kya khabar kiya saza mujh ko milti
Meray Aqa nay izzat bachali
Farde isiyan meri mujh se lay kar
Farde isiyan meri mujh se lay kar
Kali Kamli mein Apni chupali
Woh aata par ata karne wale
Aur hum bhi nahin talne wale
Woh aata par ata karne wale
Aur hum bhi nahin talne wale
Jaisi deodi hai waise bhikari
Jaisa Data hain waisay sawali
Jaisi deodi hai waise bhikari
Jaisa Data hain waisay sawali
Mein ghada hoon magar kis kay dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan Hain
Mein ghada hoon magar kis kay dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan Hain
Yeh Ghulami badi mustanad hai
Yeh Ghulami badi mustanad hai
Mere sar par hai taj-e-Bilali
Yeh Ghulami badi mustanad hai
Mere sar par hai taj-e-Bilali
Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai
Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai
Unke qadmoun mein meri jabeen hai
Aur hathoun mein Rozay ki Jali
Unke qadmoun mein meri jabeen hai
Aur hathoun mein Rozay ki Jali
Mein Madinay say kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gai hai
Zindagi jaise bujh si gai hai
Mein Madinay say kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gai hai
Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key baher sama khali khali
Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key baher sama khali khali
Mein faqat naam lewa houn Unka
Unki tauseef mein kya karoonga
Unki tauseef mein kya karoonga
Mein na Iqbal Qusro na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali
Mein na Iqbal Qusro na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali
Kya Khaber kya saza mujhko milti
Mere Aqa ne Izzat bachali
Farde isiyan meri mujh se lay kar
Kali Kamli mein Apni chupali