Tum agar mujhko naa chaaho to koi baat nahin
Tum kisi aur ko chaahogi to mushqil hogi
Tum kisi aur ko chaahogi to mushqil hogi
Tum Agar Mujhko Na (From "Dil Hi To Nahin") - Mukesh
Ab agar mel nahin hai to judaai bhi nahin
Baat todi bhi nahin tumne banaayi bhi nahin
Ye sahaara hi bahut hai mere jeene ke liye
Tum agar meri nahin ho to paraayi bhi nahin
Mere dil ko na saraaho
Mere dil ko na saraaho
To koyi baat nahin
To koyi baat nahin
Ghair ke dil ko saraahogi to mushkil hogi
Tum kisi aur ko chaahogi to mushqil hogi
Tum haseen ho tumhe sab pyaar bhi karte honge
Main jo marta hoon to kyaa aur bhi marte honge
Sabki aankhon mein issi shaukh ka toofaan hoga
Sabke seene mein yahi dard ubharte honge
Mere gham mein na karaaho
Mere gham mein na karaaho
To koyi baat nahin
To koyi baat nahin
Aur ke gham mein karaahogi to mushqil hogi
Tum kisi aur ko chaahogi to mushqil hogi
Phool ki tarah hanso sabki nigahon mein raho
Apni maasoom jawaani ki panaahon mein raho
Mujhko wo din na dikhaana tumhe apni hi kasam
Main tarasta rahoon tum ghair ki baahon mein raho
Tum jo mujhse na nibaaho
Tum jo mujhse na nibaaho
To koi baat nahi
To koi baat nahi
Kisi dushman se nibaahogi to mushqil hogi
Tum kisi aur ko chahogi to mushqil hogi