Chulein Aasman - Salim - Sulaiman/Farhan Akhtar/Shraddha Pandit
Kehte hain padh likhkar aakhir kya karogi
Tumko toh kisi ka ghar basaana hai
Kehte hain tum ho amaanat doosron ki
Unsey kaho apni bhi zidd hai
Tode hum saare ye pinjre
Chulein aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan har dhadkan bole
Chulein aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan har dhadkan bole
Kehte hain bete budhape ka sahara hain
Betiyaan bas ek bojh hain
Kehte hain jo bura hua tera kusoor hai
Unsey kaho apni bhi zidd hai
Tode hum saare ye pinjre
Chu le aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan har dhadkan bole
Chu le aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan har dhadkan bole
Har zarra ye kahe ab hum hai sang tere
Roke se na ruke hey hey
Har qatra cheekh ke dohraaye sang mere
Ab roke na ruke hey hey
Chhu le aasmaan
Koi agar humse pooche kaun hai hum
Chahe hum jo bhi hai apni pehchan kahe
Jab tak hai humaare beech barabari na ho
Tab tak kaise khud ko hum insaan kahe
Chule aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan har dhadkan bole
Chule aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan har dhadkan bole
Chule